Thursday 9 October 2014

Funny two liners PJ from WhatsApp

Ladkiya bhi ajeeb hoti hain,
Taiyaar hone ke liye parlour jaati hain aur…
.
.
.
Parlour jaane ke liye bhi taiyaar hoti hain!
———————-
Logo ko pata nahi kaise sachcha pyaar mil jaata hai..
.
.
.
Hamein to subah palang ke neeche utaari chappal bhi nahin milti!

———————-
Kaun kehta hai ki sirf mohannat mein hi dard hota hai,
Kambakht…
.
.
.
Darwaze mein ungli aa jaaye to bhi jaan nikal jaati hai!
———————-
Jab tak zinda hoon message karta rahunga,
Jis din na karun samjh lena…
.
.
.
Ki agle din karunga!
Aur kya.. maar do jaalimo abhi meri umar hi kya hui hai jo main maroon.
———————-
Agar aap kahin jaldi mein jaa rahe ho..
Aur ‘Kaali Billi’ aapke aage se gujar jaaye to iska matlab…
.
.
.
‘Kaali Billi’ aapse jyada jaldi mein hai!
———————-
Samosa aaloo se: Jab main fry hota hoon,
to tumhe dhak kar garam tel se bacha leta hoon, kyunki main tumse pyaar karta hoon.
Aaloo: Jab log tumhe fry hone ke fauran baad khaate hain to main unka muh jala deta hoon, kyunki main bhi tumse pyaar karta hoon!
.
.
.
Shiksha: Inki prem kahaani par na jaayein,
Samosa thanda karke khaayein!
———————-
Duniya mein wo kaun si cheez hai,
Jo sabse jyada baar foolti hai..
Phir bhi uske aakaar mein koi pariwartan nahin hota!!
.
.
Biwi ka thobdaa …! :-D

No comments:

Post a Comment